ab to hathon se lakiren bhi miTi jati hain
us ko kho kar to mere pas raha kuchh bhi nahin
Akhtar Shumar
abhi safar mein koi moD hi nahin aaya
nikal gaya hai ye chup-chap dastan se kaun
Akhtar Shumar
main ghar ko phunk raha tha baDe yaqin ke sath
ki teri rah mein pahla qadam uThana tha
Akhtar Shumar
main to is waste chup hun ki tamasha na bane
tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahin
Akhtar Shumar
main zindagi ke safar mein tha mashghala us ka
wo DhunD DhunD ke mujh ko ganwa diya karta
Akhtar Shumar
meri ruswai agar sath na deti mera
yun sar-e-bazm main izzat se nikalta kaise
Akhtar Shumar
meri nigah ki wusat bhi is mein shamil kar
meri zamin pe tera ye aasman kam hai
Akhtar Shumar
muddaton mein aaj dil ne faisla aaKHir diya
KHub-surat hi sahi lekin ye duniya jhuT hai
Akhtar Shumar
pahaD bhanp raha tha mere irade ko
wo is liye bhi ki tesha mujhe uThana tha
Akhtar Shumar