us ke ahd-e-shabab mein jina
jine walo tumhein hua kya hai
Akhtar Shirani
uThte nahin hain ab to dua ke liye bhi hath
kis darja na-umid hain parwardigar se
Akhtar Shirani
wo agar aa na sake maut hi aai hoti
hijr mein koi to gham-KHwar hamara hota
Akhtar Shirani
yaad aao mujhe lillah na tum yaad karo
meri aur apni jawani ko na barbaad karo
Akhtar Shirani
zindagi kitni masarrat se guzarti ya rab
aish ki tarah agar gham bhi gawara hota
Akhtar Shirani
gham-e-zamana ne majbur kar diya warna
ye aarzu thi ki bas teri aarzu karte
Akhtar Shirani
ab ji mein hai ki un ko bhula kar hi dekh len
wo bar bar yaad jo aaen to kya karen
Akhtar Shirani
ab to miliye bas laDai ho chuki
ab to chaliye pyar ki baaten karen
Akhtar Shirani
ab wo baaten na wo raaten na mulaqaten hain
mahfilen KHwab ki surat huin viran kya kya
Akhtar Shirani