hum jo luTe us shahr mein ja kar dukh logon ko kyun pahuncha
apni nazar thi apna dil tha koi paraya mal na tha
Akhtar Ansari Akbarabadi
abhi bahaar ne sikhi kahan hai dil-jui
hazar dagh abhi qalb-e-lala-zar mein hain
Akhtar Ansari Akbarabadi
gul khilae na kahin fitna-e-dauran kuchh aur
aaj-kal daur-e-mai-o-jam se ji Darta hai
Akhtar Ansari Akbarabadi
gham-e-dil ka asar har bazm mein hai
sab afsane us afsane se nikle
Akhtar Ansari Akbarabadi
fitnon ki arzani se ab ek ek tar aaluda hai
hum dekhen kis kis ke daman ek bhi daman pak nahin
Akhtar Ansari Akbarabadi
dushmani ko bura na kah ai dost
dekh kya dosti hai ghaur se dekh
Akhtar Ansari Akbarabadi
chup raho to puchhta hai KHair hai
lo KHamoshi bhi shikayat ho gai
Akhtar Ansari Akbarabadi
andagi teri KHudai se bahut hai aage
naqsh-e-sajda hai tere naqsh-e-qadam se pahle
Akhtar Ansari Akbarabadi
acha bacha ke guzarna hai daman-e-hasti
sharik-e-KHar bhi kuchh jashn-e-nau-bahaar mein hain
Akhtar Ansari Akbarabadi