ab is ke tasawwur se bhi jhukne lagin aankhen
nazrana diya hai jise main ne dil o jaan ka
Ahmad Rahi
jis taraf jaen jahan jaen bhari duniya mein
rasta roke teri yaad khaDi hoti hai
Ahmad Rahi
har ek baat ke yun to diye jawab us ne
jo KHas baat thi har bar hans ke Tal gaya
Ahmad Rahi
dur teri mahfil se raat din sulagta hun
tu meri tamanna hai main tera tamasha hun
Ahmad Rahi
dil se dil nazron se nazron ke ulajhne ka saman
jaise sahraon mein nind aai ho diwanon ko
Ahmad Rahi
dil ke sunsan jaziron ki KHabar laega
dard pahlu se juda ho ke kahan jaega
Ahmad Rahi
dard ki baat kisi hansti hui mahfil mein
jaise kah de kisi turbat pe latifa koi
Ahmad Rahi
ab na kaba ki tamanna na kisi but ki hawas
ab to zinda hun kisi markaz-e-insan ke liye
Ahmad Rahi