ek safina hai teri yaad agar
ek samundar hai meri tanhai
Ahmad Nadeem Qasmi
aaghosh mein mahkoge dikhai nahin doge
tum nikhat-e-gulzar ho hum parda-e-shab hain
Ahmad Nadeem Qasmi
gham-e-jaanan gham-e-dauran ki taraf yun aaya
jaanib shahar chale duKHtar-e-dahqan jaise
Ahmad Nadeem Qasmi
fareb khane ko pesha bana liya hum ne
jab ek bar wafa ka fareb kha baiThe
Ahmad Nadeem Qasmi
dil gaya tha to ye aankhen bhi koi le jata
main faqat ek hi taswir kahan tak dekhun
Ahmad Nadeem Qasmi
hari duniya mein faqat mujh se nigahen na chura
ishq par bas na chalega teri danai ka
Ahmad Nadeem Qasmi
andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha
dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha
Ahmad Nadeem Qasmi
ajab tazad mein kaTa hai zindagi ka safar
labon pe pyas thi baadal the sar pe chhae hue
Ahmad Nadeem Qasmi
aaKHir dua karen bhi to kis muddaa ke sath
kaise zamin ki baat kahen aasman se hum
Ahmad Nadeem Qasmi