mere kashkol mein Dal aur zara ijz ki main
itni KHairaat se aage nahin jaane wala
Ahmad Khayal
ain mumkin hai ki binai mujhe dhoka de
ye jo shabnam hai sharara bhi to ho sakta hai
Ahmad Khayal
mahakte phul sitare damakta chand dhanak
tere jamal se kitnon ne istifada kya
Ahmad Khayal
koi to dasht samundar mein Dhal gaya aaKHir
kisi ke hijr mein ro ro ke bhar gaya tha main
Ahmad Khayal
koi hairat hai na is baat ka rona hai hamein
KHak se uTThe hain so KHak hi hona hai hamein
Ahmad Khayal
kisi darwesh ke hujre se abhi aaya hun
so tere hukm ki tamil nahin karni mujhe
Ahmad Khayal
hawa ke hath pe chhaale hain aaj tak maujud
mere charagh ki lau mein kamal aisa tha
Ahmad Khayal
dil kisi bazm mein jate hi machalta hai 'KHayal'
so tabiat kahin be-zar nahin bhi hoti
Ahmad Khayal
dasht mein wadi-e-shadab ko chhu kar aaya
main khuli-ankh hasin KHwab ko chhu kar aaya
Ahmad Khayal