pyar apne pe jo aata hai to kya karte hain
aaina dekh ke munh chum liya karte hain
Ahmad Husain Mail
main hi momin main hi kafir main hi kaba main hi dair
KHud ko main sajde karunga dil mein tum ho dil mein tum
Ahmad Husain Mail
sari KHilqat rah mein hai aur ho manzil mein tum
donon aalam dil se bahar hain faqat ho dil mein tum
Ahmad Husain Mail
tauba khaDi hai dar pe jo fariyaad ke liye
ye mai-kada bhi kya kisi qazi ka ghar hua
Ahmad Husain Mail
tum gale mil kar jo kahte ho ki ab had se na baDh
hath to gardan mein hain hum panw phailaenge kya
Ahmad Husain Mail
tum ko malum jawani ka maza hai ki nahin
KHwab hi mein kabhi kuchh kaam hua hai ki nahin
Ahmad Husain Mail
wada kiya hai ghair se aur wo bhi wasl ka
kulli karo huzur hua hai dahan KHara
Ahmad Husain Mail
waiz ka e'tiraaz ye but hain KHuda nahin
mera ye e'tiqad ki jalwe KHuda ke hain
Ahmad Husain Mail
wo bazm mein hain rote hain ushshaq chau taraf
pani hai gird-e-anjuman aur anjuman mein aag
Ahmad Husain Mail

