meri nazar to KHalaon ne bandh rakkhi thi
mujhe zamin se kahan aasman dikhai diya
Afzal Gauhar Rao
meri to aankh mera KHwab TuTne se khuli
na jaane panw dhara nind mein kahan main ne
Afzal Gauhar Rao
tumhein hi sahra sambhaalne ki paDi hui hai
nikal ke ghar se bhi hum to ghar se bandhe hue hain
Afzal Gauhar Rao
tu parindon ki tarah uDne ki KHwahish chhoD de
be-zamin logon ke sar par aasman rahta nahin
Afzal Gauhar Rao
yahan bhala kaun apni marzi se ji raha hai
sabhi ishaare teri nazar se bandhe hue hain
Afzal Gauhar Rao
ye kaise KHwab ki KHwahish mein ghar se nikla hun
ki din mein chalte hue nind aa rahi hai mujhe
Afzal Gauhar Rao