main dariya hun magar bahta hun main kohsar ki jaanib
mujhe duniya ki pasti mein utar jaana nahin aata
Adeem Hashmi
ichhaD ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap
uDa diye hain parinde shajar pe baiThe hue
Adeem Hashmi
kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim'
honT achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai
Adeem Hashmi
kaTi hui hai zamin koh se samundar tak
mila hai ghao ye dariya ko rasta de ka
Adeem Hashmi
jo mah o sal guzare hain bichhaD kar hum ne
wo mah o sal agar sath guzare hote
Adeem Hashmi
ek khilauna TuT jaega naya mil jaega
main nahin to koi tujh ko dusra mil jaega
Adeem Hashmi
hua hai jo sada us ko nasibon ka likha samjha
'adim' apne kiye par mujh ko pachhtana nahin aata
Adeem Hashmi
hum bahar haal dil o jaan se tumhaare hote
tum bhi ik-adh ghaDi kash hamare hote
Adeem Hashmi
fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samne baiTha tha mere aur wo mera na tha
Adeem Hashmi