nahin faruqi! is dharti ko main hargiz na chhoDunga
mujhe jis daur ne pala hai, wo be-shak purana hai
mujhe mahbub ab bhi ahd-e-rafta ka fasana hai
magar ye daur-e-nau
ye zau
shua-e-agahi ki rau
main itni KHub-surat zindagi se munh na moDunga
ajal bar-haq sahi lekin
rahega jab talak mumkin
main chahunga ki lipTa hi rahun dharti ke daman se
ye dharti aasmanon se ziyaada KHub-surat hai
ye mahbuba hai
is mein man ki shafqat ki bhi azmat hai
zabardasti jo maut aai
(wo aati hai aur aaegi)
to main koshish karunga to shaKH-ha-e-lala-o-gul ko
jakaD lun apne hathon se
gulabon se kahunga tum abhi mujh ko na jaane do
agar haara to is duniya ki sari dilkashi le kar
zamin ki god hi mein ek gahri nind so lunga
main mahbuba nahin man se kahunga phir jaga dena
baDa ziddi sa baalak hun
main teri god se KHud shola-e-gul ban ke ubharunga!
ajab aalam tha
aur main aasman se saKHt barham tha
KHuda ko galiyon par galiyan dene mein khoya tha
ki munni ne kaha dekho KHuda ne mujh ko bheja hai
magar is waqt munni bhi mujhe manhus lagti thi
mahine guzre faruqi!
magar ab sochta hun main
koi mane na mane ek KHuda hai nam jo bhi ho!
na umr-e-ishq baqi hai
na mai-KHana na paimana
na nazron mein
kisi shahnaz-e-lala-ruKH ka kashana
to kya hamd o salam o nat likkhun ye nahin mumkin
to masjid hi karun aabaad kuchh karna zaruri hai
KHuda bhi mujh ko kahil pa ke phir barham na ho jae
magar faruqi! duniya aaj behad KHub-surat hai
ba-in umr-e-tabii mujh ko bhi us ki zarurat hai
KHuda fankar hai wo bhi yaqinan chahta hoga
ki dekhe us ki sanat se kise kitni mohabbat hai
agar main is zamin aur is ki ranai ko apna lun
to mera dil ye kahta hai ki ye bhi ek ibaadat hai
abhi ye sochta hun kal KHuda hi jaane kya sochun
musalsal sochte rahna meri bachpan ki aadat hai
diwali aur subh-e-id faruqi! mubarak ho
mujhe chhoDo mein jis aalam mein hun wo meri qismat hai!!
Nazm
Ye dharti KHub-surat hai
Salam Machhli shahri

