اردو हिंदी
Tarz-e-nau ki shaeri | Shaahi Shayari
tarz-e-nau ki shaeri

Nazm

Tarz-e-nau ki shaeri

Syed Mohammad Jafri

;

tausan-e-tab-e-rasa ke panw mein kuchh lang hai
lekin is surat mein chup rahna bhi wajh-e-nang hai

sher ka saman hai kamyab daur-e-jang hai
shaeri bhi farz hai aur qafiya bhi tang hai

qafiye aur wazn ki bandish se ho kar talKH-kaam
ai samand-e-taba tujh ko kar raha hun be-lagam

nasr-e-nazm-alud hai ye tarz-e-nau ki shaeri
mash ki khichDi hai jo puri tarah pakki na ho

ya wo haji hai karachi tak jo ja kar lauT aae
ghaaliban aadha hai titar aur aadha hai baTer

kar diya sayyaad ne par qainch uD sakta nahin
main unhi sheron se paida kar raha hun inqalab

'hafiz' o 'KHayyam' se kah do ki mahshar ho gaya
tundi-e-sahba se chaknachur saghar ho gaya

shaeri ki fikr hai circus ki beli dancer
toD kar bandish ko taqriban barahna ho gai

KHirman-e-sher-o-adab par bijliyan girne lagin
aag is ghar ko lagi aisi ki jo tha jal gaya

is ko kahte hain ki ye hai blank-werse
werse ho jata hai jab bhi zehn ho bilkul blank

tarz-e-nau ki shaeri bhi sur-e-israfil hai
shaeri habil hai aur tarz-e-nau qabil hai

is ke andar zindagi ki qadr karte ho talash
aur liye phirta hai bhai dusre bhai ki lash

tarz-e-nau ki shaeri ho jae jab behad baligh
log kahte hain ki paida ho gaya adab-e-latif

tarz-e-nau ki shaeri ke dekhiye mauzua bhi
hurriyat niswaniyat ehsas muflis ka shabab

chandni raaten papiha, tu kahan sarmaya-dar
bourgeois qadren mahajan zindagi ke moD par

morcha maKHmal mein dekha aadmi baadam mein
TuTi dariya ki kalai zulf uljhi baam mein

tarz-e-nau ki shaeri mein madd-o-jazr-e-bahr-e-sher
uff ghazab

ek misra fil-e-be-zanjir ki zinda misal
dusra ushtar ki dum

dariya mein sher KHak uData tha naw par
bismil do-zanu baiTha tha pusht-e-bilaw par

nazm lauT aai hai phir apni purani bahr mein
hai ajab tasir pinhan tarz-e-nau ke sehr mein

tarz-e-nau ki shaeri ki koi kal sidhi nahin
shahar bhar mein unT be-chaara abas bad-nam hai

tarz-e-nau ki shaeri ko unT se de kar misal
chahta hun unT se ja kar muafi mang lun

hath lekin us ki gardan tak pahunch sakte nahin
garche be-chaara hai lekin hai baDa gardan-daraaz

aah unT!