اردو हिंदी
Sher-imdad-ali ka meDak | Shaahi Shayari
sher-imdad-ali ka meDak

Nazm

Sher-imdad-ali ka meDak

Saqi Faruqi

;

magar tang-nazar
maTiyale talab mein

us adh-khile kanwal par
wo bahaar thi

jo dekhne wali aankhon mein dhanak khilati hai
phir pani ka bulawa alag tha

is sahirana kashish se haar kar
apna tahmad utar kar

wo murda pani mein kud paDe
jal-kumbhi se uljhe

to hafte ashre ke hamal ke manind
narm aur KHam saron wale

gul guthne
(sadakar meDakon ke

dum-dar bachche)
shark lahron ke shor

se Dar ke
farfar har taraf bhag khaDe hue

aur sher-imdad-ali galle galle pani mein the
aur kanwal dur tha

bijli chamki
aur ek dum-dar aab-KHor

us ghubare ki surat se
jis mein hawa bhari ho

aur hath se chhuT jae
chhipkili ki talwar zaban ki tarah

san san karta hua
un ke khule munh ki surang mein utar gaya

din guzre
aur mausam badle

aur jug bit gae
ek aawaz taaqub karti rahti hai:

bahar aane do
is zindan se bahar aane do

darjanon Doctron aur sarjanon ke
xray ki KHunuk shuaon se

jal kar dekh liya
shahr badal kar

mulk badal kar dekh liya
magar lahu mein

wahi sada halkore leti hai
bahar aane do

is zindan se bahar aane do
sher-imdad-ali pani ki amanat ghasb kiye

apne ghar mein zanjir hue baiThe hain
bahar pani khaDa hai

aur pani mein
pipal ke patton ki tarah

sale
KHashmagin aankhon wale

pile pile meDak
apna ghera Dale

paDe hue hain