badi bhari ye boriyan
na jaane kaun moD tak
hamare sath jaengi
safed chadaron mein kis ne raat ko chhupa liya
hamari zillaton se kis ne apne uzw uzw ko saja liya
ki aaj naf ke qarib KHwahishon ki bhiD hai
udhar wo gumbadon ki gunj
jangalon ko jaane wale raste
palaT paDe
teri gali mein har taraf se aa rahe hain bheDiye
kiwaD khol dekh kaisa jashn hai
hawa bhara wo chand
sat inch niche aa gaya
ghiza milegi chiyunTiyon ko tera kaam ho gaya
hamare naKHunon ke mail se
tere badan ke ghaw bhar gae
ye hadsa bhi ho gaya
magar kahan se bich mein ye aasman aa gaya
Nazm
Saugandhi
Shahryar

