may ke mahine ka manus manzar
gharibon ke sathi ye kankar ye patthar
wahan shahr se ek hi mil haT kar
saDak ban rahi hai
zamin par kudalon ko barsa rahe hain
pasine pasine hue ja rahe hain
magar is mashaqqat mein bhi ga rahe hain
saDak ban rahi hai
musibat hai koi masarrat nahin hai
unhen sochne ki bhi fursat nahin hai
jamadar ko kuchh shikayat nahin hai
saDak ban rahi hai
jawan naujawan aur KHamida kamar bhi
fasurda jabin bhi bahisht-e-nazar bhi
wahin sham-e-gham bhi jamal-e-sahar bhi
saDak bin rahi hai
jamadar sae mein baiTha hua hai
kisi par use kuchh itab aa gaya hai
kisi ki taraf dekh kar hans raha hai
saDak ban rahi hai
ye be-bak ulfat par alhaD ishaara
basanti se ramu to ramu se radha
jamadar bhi hai basanti ka shaida
saDak ban rahi hai
jo sar pe hai pagDi to hathon mein hunter
chala hai jamadar kis shan se ghar
basanti bhi jati hai nazren bacha kar
saDak ban rahi hai
samajhte hain lekin hain masrur ab bhi
usi tarah gate hain mazdur ab bhi
bahar-haal wan hasb-e-dastur ab bhi
saDak ban rahi hai
Nazm
SaDak ban rahi hai
Salam Machhli shahri

