ek din sham ko bazar mein chalte-phirte
sansanahaT si hui sare badan mein mere
sans bhaari hua sine mein aTak kar aaya
kuchh qadam aur chala hunga ki chakkar aaya
phir mujhe yaad nahin kaise hawaen badlin
waqt bazar saman aur fazaen badlin
jaane kyun dekh ke bazar ko Dar aane laga
be-zarar chizon se bhi KHauf-e-zarar aane laga
jaane kya aankh ko bin dekhe nazar aata tha
ek ek uzw-e-badan KHauf se tharraata tha
jism qabu mein na tha sine mein dil aTka tha
panw rakhta tha kahin aur kahin paDta tha
habs mahsus hua ThanDa pasina Tapka
chaDh gaya zehn pe dhund aur dhuwen ka bhapka
chalna kaisa ki ghisaTta hua ghar mein aaya
mujh se do chaar qadam aage tha mera saya
kaisa saya ki har ek lamha badalta jae
dam-ba-dam ek nai shakl mein Dhalta jae
kabhi simTe kabhi phaile kabhi sahme kanpe
kabhi renge kabhi dauDe kabhi ruk kar hanpe
mujh ko yun lagta tha main jaan raha hun KHud ko
us ki har shakl mein pahchan raha hun KHud ko
Darte Darte jo qadam aur baDhae main ne
wahshat-e-ruh ke saman nae pae main ne
be-sabab har dar-o-diwar ko barham dekha
balb mein chashm-e-ghazabnak ka aalam dekha
kaisi aawaz chali aati hai ghar-ghar ghar-ghar
aankh uThaun to bala nach rahi hai sar par
hath kursi ne achanak meri jaanib phailae
main jo palTa idhar mez ne bhi panw baDhae
KHud-ba-KHud juton mein harakat hui moze bhage
kulbulate hue kiDe the kishan ke tage
sarsarahaT si yakayak hui parde ke qarib
sanp sa reng raha tha mere takiye ke qarib
band ghaDiyal mein bajne lage ik-dam bara
qahqaha mujh pe hawaon ne achanak mara
baiThna chaha to sofon ne daba kar bhincha
bhagna chaha to pardon ne pakaD kar khincha
phir zara der mein jaise ki ye sab kuchh bhi na tha
dil ko wahshat thi pa wahshat ka sabab kuchh bhi na tha
Nazm
Nind se pahle
Saleem Ahmed

