bahut dinon se
wo meri tauhin ke bahane
DhunD raha tha
be-lihaz be-murawwat
dusron ki zillat
us ke jine ka jawaz
har talluq ke tasme khol kar
phenk dena
us ka mizaj
us ki aawaz ki yaKH hawa se
jaane kaun kaun zaKHmi hai
meri KHamoshi
us ki aawaz ko jitni bar chhuti
us ka julapa aur baDh jata
phir na kisi safar ki dhup
na thakan masafaton ki kaam aati
kal wo kuchh ziyaada hi hanp raha tha
us ki yaKH aawaz ke nashtar
meri KHamoshi par lage
wo TuT gai
dafatan
meri ungliyan
billi ke panjon jaisi ho gain
yaad nahin
main us par jhapTi ya KHud par
abhi main ne aaina nahin dekha
Nazm
Nazm
Shabnam Ashai

