اردو हिंदी
Nafi se isbaat tak | Shaahi Shayari
nafi se isbaat tak

Nazm

Nafi se isbaat tak

Shahryar

;

raat ka ye samundar tumhaare liye
tum samundar ki KHatir bane ho

dilon mein kabhi KHushkiyon ki sahar ka tasawwur na aae
isi waste tum ko be-baadban kashtiyan di gai hain

safar raat ke us samundar ki gahraiyon ka safar-e-be-karan hai
akele ho tum aur akele rahoge

magar aasman ki jagah aasman aur zamin ki jagah ye zamin
tum se qaem hai

daim hai ye raat
aur raat ke tum amin ho

agar aankh mein nur ka koi manzar hai
us ki hifazat karo