KHwab ki baalkani
baalkani par ye sarakti hui parchhain meri
samne baalkani ke niche
barf mein lithDa hua
raushni rota hua balb abhi zinda hai
ek ehsas-e-ziyan baqi hai
raat ke zina-e-pechan se utarne lagi tanhai meri
is ke katbe pe tabahi ka ye taza bosa
sirf bose ka nishan baqi hai
nim-jaan daera-e-nauha-giran baqi hai
ruh ke tar khinche hain jin par
waqt wamanda parinde ki tarah
lam
Te
kaf
alif
hua chiKHta hai
maut atraf-o-jawanib mein
kisi wahshi darinde ki tarah phirti hai
jism ke chaaron taraf
dard ki tarik fasil
zat ke habs mein kumhla gai aawaz meri
gham ke yalghaar se dil band hua
qalb-e-paiwandi-e-gham to hogi
shahr mein koi dhaDakta hua dil
dil ki koi taza qalam to hogi
Nazm
Muhasara
Saqi Faruqi

