abhi nahin abhi zanjir-e-KHwab barham hai
abhi nahin abhi daman ke chaak ka gham hai
abhi nahin abhi dar baz hai umidon ka
abhi nahin abhi sine ka dagh jalta hai
abhi nahin abhi palkon pe KHun machalta hai
abhi nahin abhi kam-baKHt dil dhaDakta hai

