'kipling' ne kaha tha
mashriq mashriq hai
aur maghrib maghrib hai
aur donon ka milna na-mumkin hai
lekin maghrib mashriq ke ghar-angan mein aa pahuncha hai
mera naukar bbc se KHabren sunta hai
main 'be-dil' aur 'hafiz' ke bajae
'shakespeare' aur 'rilke' ki baaten karta hun
aKHbaron mein
maghrib ke chaklon ki KHabren aur taswiren chhapti hain
mujh ko chuggi daDhi wale 'akbar' ki khisyani hansi par
rahm aata hai
iqbaal ki baaten (gustaKHi hoti hai)
majzub ki baD hain
'waris-shah' aur 'bullhe-shah' aur 'baba-farid'?
chaliye jaane dije in baaton mein kya rakkha hai
mashriq haar gaya hai!
ye 'baksar' aur 'palasi' ki haar nahin hai
'Tipu' aur jhansi-ki-rani ki haar nahin hai
san-sattawan ki jang-e-azadi ki haar nahin hai
aisi haar to jiti ja sakti hai (shayad hum ne jit bhi li hai)
lekin mashriq apni ruh ke andar haar gaya hai
qubla-KHan tum haar gae ho!
aur tumhaare TukDon par palne wala lalchi marko-polo
jit gaya hai
akbar-e-azam! tum ko maghrib ki jis ayyara ne tohfe bheje the
aur baDa bhai likkha tha
us ke kutte bhi in logon se afzal hain
jo tumhein maha-bali aur zillullah kaha karte the
mashriq kya tha?
jism se upar uThne ki ek KHwahish thi
shahwat aur jibillat ki tariki mein
ek diya jalane ki koshish thi!
main soch raha hun, suraj mashriq se nikla tha
(mashriq se jaane kitne suraj nikle the)
lekin maghrib har suraj ko nigal gaya hai
main haar gaya hun
main ne apne ghar ki diwaron par likkha hai
main haar gaya hun
main ne apne aaine par kalak mal di hai
aur taswiron par thuka hai
haarne wale chehre aise hote hain
meri ruh ke andar ek aisa gahra zaKHm laga hai
jis ke bharne ke liye sadiyan bhi na-kafi hain
main apne bachche aur kutte donon ko 'Tipu' kahta hun
mujh se mera sab kuchh le lo
aur mujhe ek nafrat de do
mujh se mera sab kuchh le lo
aur mujhe ek ghussa de do
aisi nafrat aisa ghussa
jis ki aag mein sab jal jaen
main bhi!!
Nazm
Mashriq haar gaya
Saleem Ahmed

