zara sa gham nahin chehre pe in ke
miyan sar par koi rumal hi rakh lo
inhen to maut aana hi nahin hai
wahi tane
wahi fiqre
abhi tak mera pichha kar rahe hain har janaze mein
main apni chaal ki raftar thoDi aur kam kar ke
nikal aata hun bahar bhiD se
aur ruk ke ek dukan par cigarette jalata hun
janaza dur hota ja raha hai
ye sab kya hai?
adakari nahin aati mujhe to kya karun main
aur sachchi baat kah dun to mujhe pagal samajh legi ye duniya
han ye sach hai
mujhe ratti barabar gham nahin hota kisi ki maut ka
aur ye bhi sun lo
meri jis muskurahaT par yahan naraaz hain sab
sabab is ka jalan hai
jo main mahsus karta hun kisi bhi marne wale se
kuDhan hoti hai mujh ko soch kar
ki main jis imtihan ke KHauf se behaal aur be-chain phirta hun
wo ye sahab
jo kandhon par hain
un ka ho chuka
aur mera baqi hai
Nazm
Marne wale se jalan
Shariq Kaifi

