aaj ka din aur kal jo guzar gaya ye donon
mere shanon par baiThe hain
kal ka din baen kandhe par jam kar baiTha
mere baen kan ki nazuk lau ko pakDe
chiKH chiKH kar ye elan kiye jata hai
main zinda hun!
baen jaanib kandha moD ke dekho mujh ko
aaj ka din jo
daen kandhe par aaram se panw phaila kar baiTha hai
bar bar dhime lahje mein ek hi baat ko dohraata hai
mat dekho us ajal-rsida kal ko
jo ab kisi bhi dam uThne wala hai
mujh ko dekho, baat karo, main chalta-phirta aaj ka din hun
sans ki Dori mujh se bandhi hai
kya lena dena hai ek aasuda-e-KHak se hum jaise zindon ko
daen baen gardan moD ke donon ki baaten sunta hun
gardan mein bal paD jata hai
kuchh susta kar phir sunne lagta hun in ki ram kahani!
shayad sach kahte hain donon!
mazi bhala kahan marta hai?
zindon se bhi bad-tar, ye murda to zehn mein gaDa hua hai
jaise kale marmar ki sil ka katba ho
aur phir aaj ka zinda paikar?
aane wale kal ke din tak is ko main kaise jhuTlaun
koi batae
main do-janma
apne do shanon par baiThe aaj aur kal se kaise nipTun?
Nazm
Main do janma
Satyapal Anand

