اردو हिंदी
Lauh-e-ayyam | Shaahi Shayari
lauh-e-ayyam

Nazm

Lauh-e-ayyam

Shahram Sarmadi

;

aqaed kirm-KHurda
KHatt-e-na-malum mein likkhi kitabon mein

kahin mahfuz hain
malum ki buniyaad na-malum par

ek mazhaka
ye silsila mansuKH kab hoga

main jo kuchh manta hun jaanta hoga
mujhe ye jaanna hoga

ki main ek din
darun-e-qabr, zer-e-KHak

KHak-e-sard o na-hamwar mein so jaunga
aur mere chehre honTon aankhon mein

chalengi chyunTiyan raste bana dengi
hua tha runuma jis se mujhe us mein mila dengi

mujhe ye jaanna hoga
ki ek din main nahin hunga

magar ye roz o shab
ye shadi o gham

dasht dariya koh
aur ye zindagi ka shor-e-ba-taghir sab baqi rahega

han mujhe ye jaanna hoga
ki garche main nahin hunga

ye mera haq-o-na-haq
sabt hota ja raha hai

aur sada baqi rahega