اردو हिंदी
KHun ki KHushbu | Shaahi Shayari
KHun ki KHushbu

Nazm

KHun ki KHushbu

Satyapal Anand

;

KHun ki KHushbu uDi to
KHud-kushi chiKHi ki main hi zindagi hun

aao ab is wasl ki saat ko chumo
mar gai thi jite-ji main

aur tum jine ki KHatir
lamha lamha mar rahe the

KHud masiha bhi the aur bimar bhi the
(aur KHud apni jarahat ke liye tayyar bhi the)

aao ab ji bhar ke sungho
KHun ki KHushbu ki main hi zindagi hun

mere honTon se piyo aao, mujhe bahon mein le lo
wasl ki saat yahi hai

tum faqat jine ki koshish kar rahe the
jaan-kani ke la-shuuri KHwab se le kar wiladat

ke shuuri lamha-e-be-dar tak!