اردو हिंदी
KHala mein bandar | Shaahi Shayari
KHala mein bandar

Nazm

KHala mein bandar

Syed Mohammad Jafri

;

ek bono nam ka bandar gaya sou-e-KHala
aadmi ka kaam hai bandar ka phansta hai gala

ye tawaqqo bandaron se kar bhala hoga bhala
hai yahi bandar ke sar goya tawile ki bala

'darwin' ne sach kaha tha us ka ye ehsan hai
aadmi ka pesh-rau ye be-zaban haiwan hai

gardish-e-dauran mein aaya hai ye kaisa inqalab
dekhte hain ab KHala mein baiTh kar bandar bhi KHwab

KHwab kya hoga yahi hoga ki hum hain la-jawab
is bina pe aadmi ka bhi lagaenge hisab

kya KHala mein us pe guzri hogi ai saqi na puchh
kaw-kaw-e-saKHt-jaani hae tanhai na puchch

ye to scientist hi jaanen unhi ko hai KHabar
is KHala ke KHwab mein bandar ko kya aaya nazar

us ko kya malum us ka hai KHala mein kyun safar
ye samajhta hoga main baiTha hun unchi Dal par

sochta hoga ki har KHurd-o-kalan chakkar mein hai
ye zamin chakkar mein hai ye aasman chakkar mein hai

KHwah chhoTi zat ka bandar hai ya Dhabbus hai
jis ne bheja hai KHala mein us ko wo to rus hai

wo zamin walon ka ek bheja hua jasus hai
DugDugi ki shakl ki ashya se wo manus hai

chunki aadhi DugDugi ki shakl mein hai capsule
nachte hain DugDugi ke bal pe bandar ya usul

dur se shayad zamin ko DugDugi samjha hai wo
nachte rahne ko shayad zindagi samjha hai wo

tairte rahna KHala mein dil-lagi samjha hai wo
aadmi KHud ko ze-fart-e-sadgi samjha hai wo

baat bono ki KHala mein dekhiye kaise bane
kya sitare shab mein aate hain nazar us ko chane