اردو हिंदी
KHak ko main KHwar kyun karta | Shaahi Shayari
KHak ko main KHwar kyun karta

Nazm

KHak ko main KHwar kyun karta

Shariq Kaifi

;

dua-e-KHair se
dua-e-maghfirat tak ka safar pura hua

aur ab main apni qabr mein hun
zara hairat-zada hun

magar ye qabr itni tang bilkul bhi nahin hai
main jaisi sochta tha

mujhe bas itr aur kafur ki KHushbu pareshan kar rahi hai
aur kuchh had tak ye Dore aankh ke

andhera hai magar wo bhi nihayat mehrban
dil rakhne wala

bahut manus sa lagta hai sab kuchh
kuchh aisa

jaise koi apni man ki kokh mein phir lauT aaya ho
wahan upar bhi kuchh halchal hai ab tak

abhi tak log miTTi de rahe hain jism ko mere
ye aawazen bhi aai hain

bara-e-mehrbani apne jute khol lije
ye miTTi qabr ki hai is ki hurmat ko samajhiye

afsurda ho gaya hun main ye sun kar
agar ye baat main ne zindagi mein jaan li hoti

ki bas surat badal lene se miTTi pak ho sakti hai meri
to apni KHak ko main KHwar kyun karta

main itna zindagi se pyar kyun karta