اردو हिंदी
Zindagi kya hai ek kahani hai | Shaahi Shayari
zindagi kya hai ek kahani hai

Ghazal

Zindagi kya hai ek kahani hai

Jaun Eliya

;

zindagi kya hai ek kahani hai
ye kahani nahin sunani hai

hai KHuda bhi ajib yani jo
na zamini na aasmani hai

hai mere shauq-e-wasl ko ye gila
us ka pahlu sara-e-fani hai

apni tamir-e-jaan-o-dil ke liye
apni buniyaad hum ko Dhani hai

ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal
yan ki har baat na-gahani hai

chaliye ai jaan-e-sham aaj tumhein
shama ek qabr par jalani hai

rang ki apni baat hai warna
aaKHirash KHun bhi to pani hai

ek abas ka wajud hai jis se
zindagi ko murad pani hai

sham hai aur sahn mein dil ke
ek ajab huzn-e-asmani hai