اردو हिंदी
Zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin | Shaahi Shayari
zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin

Ghazal

Zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin

Fani Badayuni

;

zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin
hae is qaid ko zanjir bhi darkar nahin

be-adab girya-e-mahrumi-e-didar nahin
warna kuchh dar ke siwa hasil-e-diwar nahin

aasman bhi tere kuche ki zamin hai lekin
wo zamin jis pe tera saya-e-diwar nahin

hae duniya wo teri surma-taqaza aankhen
kya meri KHak ka zarra koi bekar nahin