zaman-e-hijr miTe daur-e-wasl-e-yar aae
ilahi ab to KHizan jae aur bahaar aae
sitam-zarifi-e-fitrat ye kya muamma hai
ki jis kali ko bhi sunghun main bu-e-yar aae
chaman ki har kali aamada-e-tabassum hai
bahaar ban ke meri jaan-e-nau-bahaar aae
hain tishna-kaam hum un baadalon se puchhe koi
kahan bahaar ki pariyon ke taKHt utar aae
tere KHayal ki be-tabiyan maaz-allah
ki ek bar bhulaen to lakh bar aae
wo aaen yun mere aaghosh-e-ishq mein 'aKHtar'
ki jaise aankhon mein ek KHwab-e-be-qarar aae
Ghazal
Zaman-e-hijr miTe daur-e-wasl-e-yar aae
Akhtar Shirani