اردو हिंदी
Yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana | Shaahi Shayari
yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana

Ghazal

Yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana

Allama Iqbal

;

yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana
yak-rangi o aazadi ai himmat-e-mardana

ya sanjar o tughral ka aain-e-jahangiri
ya mard-e-qalandar ke andaz-e-mulukana

ya hairat-e-'farabi' ya tab-o-tab-e-'rumi'
ya fikr-e-hakimana ya jazb-e-kalimana

ya aql ki rubahi ya ishq-e-yadul-lahi
ya hila-e-afrangi ya hamla-e-turkana

ya shar-e-musalmani ya dair ki darbani
ya nara-e-mastana kaba ho ki but-KHana

meri mein faqiri mein shahi mein ghulami mein
kuchh kaam nahin banta be-jurat-e-rindana