اردو हिंदी
Ye zard patton ki barish mera zawal nahin | Shaahi Shayari
ye zard patton ki barish mera zawal nahin

Ghazal

Ye zard patton ki barish mera zawal nahin

Bashir Badr

;

ye zard patton ki barish mera zawal nahin
mere badan pe kisi dusre ki shaal nahin

udas ho gai ek faKHta chahakti hui
kisi ne qatl kiya hai ye intiqal nahin

tamam umr gharibi mein ba-waqar rahe
hamare ahd mein aisi koi misal nahin

wo la-sharik hai us ka koi sharik kahan
wo be-misal hai us ki koi misal nahin

main aasman se TuTa hua sitara hun
kahan mili thi ye duniya mujhe KHayal nahin

wo shaKHs jis ko dil o jaan se baDh ke chaha tha
bichhaD gaya to ba-zahir koi malal nahin