اردو हिंदी
Ye talluq teri pahchan bana sakta tha | Shaahi Shayari
ye talluq teri pahchan bana sakta tha

Ghazal

Ye talluq teri pahchan bana sakta tha

Ahmad Khayal

;

ye talluq teri pahchan bana sakta tha
tu mere sath bahut nam kama sakta tha

ye bhi ejaz mujhe ishq ne baKHsha tha kabhi
us ki aawaz se main dip jala sakta tha

main ne bazar mein ek bar ziya banTi thi
mera kirdar mere hath kaTa sakta tha

kuchh masail mujhe ghar rok rahe hain warna
main bhi majnun ki tarah KHak uDa sakta tha

ab to tinka mujhe shahtir se bhaari hai 'KHayal'
main kisi waqt bahut bojh uTha sakta tha