اردو हिंदी
Ye sard raaten bhi ban kar abhi dhuan uD jaen | Shaahi Shayari
ye sard raaten bhi ban kar abhi dhuan uD jaen

Ghazal

Ye sard raaten bhi ban kar abhi dhuan uD jaen

Rahat Indori

;

ye sard raaten bhi ban kar abhi dhuan uD jaen
wo ek lihaf main oDhun to sardiyan uD jaen

KHuda ka shukr ki mera makan salamat hai
hain utni tez hawaen ki bastiyan uD jaen

zamin se ek talluq ne bandh rakkha hai
badan mein KHun nahin ho to haDDiyan uD jaen

bikhar bikhar si gai hai kitab sanson ki
ye kaghzat KHuda jaane kab kahan uD jaen

rahe KHayal ki majzub-e-ishq hain hum log
agar zamin se phunken to aasman uD jaen

hawaen baz kahan aati hain shararat se
saron pe hath na rakkhen to pagDiyan uD jaen

bahut ghurur hai dariya ko apne hone par
jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan uD jaen