اردو हिंदी
Ye kya ki ek jahan ko karo waqf-e-iztirab | Shaahi Shayari
ye kya ki ek jahan ko karo waqf-e-iztirab

Ghazal

Ye kya ki ek jahan ko karo waqf-e-iztirab

Sufi Tabassum

;

ye kya ki ek jahan ko karo waqf-e-iztirab
ye kya ki ek dil ko shakibana kar sako

aisa na ho ye dard bane dard-e-la-dawa
aisa na ho ki tum bhi mudawa na kar sako

shayad tumhein bhi chain na aae mere baghair
shayad ye baat tum bhi gawara na kar sako

kya jaane phir sitam bhi mayassar ho ya na ho
kya jaane ye karam bhi karo ya na kar sako

allah kare jahan ko meri yaad bhul jae
allah kare ki tum kabhi aisa na kar sako

mere siwa kisi ki na ho tum ko justuju
mere siwa kisi ki tamanna na kar sako