ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe
KHud ko sameTne mein bikharna paDa mujhe
phir KHwahishon ko koi sarae na mil saki
ek aur raat KHud mein Thaharna paDa mujhe
mahfuz KHamushi ki panahon mein tha magar
gunji ek aisi chiKH ki Darna paDa mujhe
is bar rah-e-ishq kuchh itni tawil thi
us ke badan se ho ke guzarna paDa mujhe
puri amir imam ki taswir jab hui
us mein lahu ka rang bhi bharna paDa mujhe
Ghazal
Ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe
Ameer Imam