اردو हिंदी
Ye jo ek sail-e-fana hai mere pichhe pichhe | Shaahi Shayari
ye jo ek sail-e-fana hai mere pichhe pichhe

Ghazal

Ye jo ek sail-e-fana hai mere pichhe pichhe

Ahmad Fareed

;

ye jo ek sail-e-fana hai mere pichhe pichhe
mere hone ki saza hai mere pichhe pichhe

aage aage hai mere dil ke chaTaKHne ki sada
aur meri gard-e-ana hai mere pichhe pichhe

zindagi thak ke kisi moD pe rukti hi nahin
kab se ye aabla-pa hai mere pichhe pichhe

apna saya to main dariya mein baha aaya tha
kaun phir bhag raha hai mere pichhe pichhe

panw par panw ko rakhta hai chala aata hai
mera naqsh-e-kaf-e-pa hai mere pichhe pichhe

meri tanhai se Takra ke palaT jaegi
ye jo KHushbu-e-qaba hai mere pichhe pichhe

main to dauDa hun KHud apne hi taaqub mein 'farid'
chand kyun bhag paDa hai mere pichhe pichhe