ye jagah ahl-e-junun ab nahin rahne wali
fursat-e-ishq mayassar kahan pahle wali
koi dariya ho kahin jo mujhe sairab kare
ek hasrat hai jo puri nahin hone wali
waqt koshish kare main chahun magar yaad teri
dhundli ho sakti hai dil se nahin miTne wali
ab mere KHwabon ki bari hai yahi lagta hai
nind to chhin chuki kab ki mere hisse wali
in dinon main bhi hun kuchh kar-e-jahan mein masruf
baat tujh mein bhi nahin rah gai pahle wali
Ghazal
Ye jagah ahl-e-junun ab nahin rahne wali
Shahryar