اردو हिंदी
Ye duniya tumko ras aae to kahna | Shaahi Shayari
ye duniya tumko ras aae to kahna

Ghazal

Ye duniya tumko ras aae to kahna

Javed Akhtar

;

ye duniya tum ko ras aae to kahna
na sar patthar se Takrae to kahna

ye gul kaghaz hain ye zewar hain pital
samajh mein jab ye aa jae to kahna

bahut KHush ho ki us ne kuchh kaha hai
na kah kar wo mukar jae to kahna

badal jaoge tum gham sun ke mere
kabhi dil gham se ghabrae to kahna

dhuan jo kuchh gharon se uTh raha hai
na pure shahar par chhae to kahna