اردو हिंदी
Ye dhup chhanw ke asrar kya batate hain | Shaahi Shayari
ye dhup chhanw ke asrar kya batate hain

Ghazal

Ye dhup chhanw ke asrar kya batate hain

Asad Badayuni

;

ye dhup chhanw ke asrar kya batate hain
jo aankh ho to usi ka pata batate hain

ye kaun log hain jo sare kam ayyaron ko
kabhi charagh kabhi aaina batate hain

kabhi wo shaKHs ek adna ghulam tha mera
rafiq ab jise apna KHuda batate hain

bahut se logon ko main bhi ghalat samajhta hun
bahut se log mujhe bhi bura batate hain

wo kitne chhoTe hain andaza KHud laga lije
jo apne aap ko sab se baDa batate hain