اردو हिंदी
Yahi nahin ki mera ghar badalta jata hai | Shaahi Shayari
yahi nahin ki mera ghar badalta jata hai

Ghazal

Yahi nahin ki mera ghar badalta jata hai

Asad Badayuni

;

yahi nahin ki mera ghar badalta jata hai
mizaj-e-sheher bhi badalta jata hai

ruten qadim tawatur se aati jati hain
daraKHt patton ke zewar badalta jata hai

ufuq pe kyun nahin rukti koi kiran pal bhar
ye kaun tezi se manzar badalta jata hai

ghubar-e-waqt mein sab rang ghulte jate hain
zamana kitne hi tewar badalta jata hai

chhiDi hui hai azal se dil o nigah mein jang
mahaz ek hai lashkar badalta jata hai

ye kis ka hath hai jo be-charagh raaton mein
fasil-e-shahr ke patthar badalta jata hai

parind peD se parwaz karte jate hain
ki bastiyon ka muqaddar badalta jata hai