اردو हिंदी
Wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega | Shaahi Shayari
wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega

Ghazal

Wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega

Hijr Nazim Ali Khan

;

wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega
to mahtab-e-falak ko hijab aaega

KHabar na thi ki miTenge jawan hote hi
ajal ka bhes badal kar shabab aaega

paDega aks jo saqi ki chashm-e-maigun ka
nazar sharab mein jam-e-sharab aaega

hazar haif ki sar nama-bar ka aaya hai
samajh rahe the ki KHat ka jawab aaega

kalim han dil-e-betab ko sambhaale hue
suna hai tur pe wo be-naqab aaega

jo aarzu hai hamari wo kah to den lekin
KHayal ye hai ki tum ko hijab aaega

ye shoKHiyan teri is kam-sini mein ai zalim
qayamat aaegi jis din shabab aaega

kabhi ye fikr ki wo yaad kyun karenge hamein
kabhi KHayal ki KHat ka jawab aaega

chala hai 'hijr' siyahkar bazm-e-jaanan ko
zalil ho ke ye KHana-KHarab aaega