اردو हिंदी
Wo kya hai tera jis mein jalwa nahin hai | Shaahi Shayari
wo kya hai tera jis mein jalwa nahin hai

Ghazal

Wo kya hai tera jis mein jalwa nahin hai

Aasi Ghazipuri

;

wo kya hai tera jis mein jalwa nahin hai
na dekhe tujhe koi andha nahin hai

kahan daman-e-husn aashiq se aTka
gul-e-dagh-e-ulfat mein kanTa nahin hai

kiya hai wahan us ne paiman-e-farda
yahan hai wo shab jis ko farda nahin hai

wo kahte hain main zindagani hun teri
ye sach hai to un ka bharosa nahin hai

meri zist kyun kar na ho jawedani
jo marta hai us par wo marta nahin hai

wahi KHak uDana wahi gardishen hain
ye mana ki aashiq bagula nahin hai

gulu-gir hai un bhawon ka tasawwur
gareban mein apne kanTha nahin hai

in aankhon ko jab se basarat mili hai
siwa tere kuchh main ne dekha nahin hai

meri hasraten is qadar bhar gai hain
ki ab tere kuche mein rasta nahin hai

wo dil kya jo dilbar ki surat na pakDe
wo majnun nahin hai jo laila nahin hai

kamal-e-zuhur-e-tajalli se jaana
jo pinhan nahin hai wo paida nahin hai