اردو हिंदी
Wo harf harf mukammal kitab kar dega | Shaahi Shayari
wo harf harf mukammal kitab kar dega

Ghazal

Wo harf harf mukammal kitab kar dega

Ajeet Singh Hasrat

;

wo harf harf mukammal kitab kar dega
waraq waraq ko mohabbat ka bab kar dega

ujale ke liye us ko sada lagao ab
ye kaam chuTkiyon mein aaftab kar dega

wo jab bhi dekhega masti bhari nazar se mujhe
mere wajud ko yaksar sharab kar dega

mujhe yaqin hai eajaz-e-lams se ek din
wo KHar ko bhi shagufta gulab kar dega

hazar chup sahi par us ka bolta chehra
KHamosh rah ke hamein la-jawab kar dega

wo jaisa chahega waisa karega ai 'hasrat'
kisi ko Thik kisi ko KHarab kar dega