اردو हिंदी
Wo aksar baaton baaton mein aghyar se puchha karte hain | Shaahi Shayari
wo aksar baaton baaton mein aghyar se puchha karte hain

Ghazal

Wo aksar baaton baaton mein aghyar se puchha karte hain

Zaheer Kashmiri

;

wo aksar baaton baaton mein aghyar se puchha karte hain
ye sar-ba-gireban diwane kis shai ka taqaza karte hain

ek din tha ki sahil par baiThe tufan pe tabassum karte the
ab mayusi ke aalam mein sahil ka tamasha karte hain

KHatra hai wafa ke luTne ka majburi-e-dil bhi lazim hai
jine ki tamanna karte hain marne ka taqaza karte hain

masum sitamgar ki baaten mazlum ada ke afsane
yun raat basar ho jati hai yun dil ka mudawa karte hain

jab nadani ka aalam tha hasil ki tamanna karte the
ab dil mein aag lagate hain shoalon ka tamasha karte hain

apne mein rahe to ruswai apne se gae to saudai
hum muddat se diwangi-e-duniya ka tamasha karte hain