اردو हिंदी
Waqt ka qafila aata hai guzar jata hai | Shaahi Shayari
waqt ka qafila aata hai guzar jata hai

Ghazal

Waqt ka qafila aata hai guzar jata hai

Nushur Wahidi

;

waqt ka qafila aata hai guzar jata hai
aadmi apni hi manzil mein Thahar jata hai

ek bigDi hui qismat pe na hansna ai dost
jaane kis waqt ye insan sanwar jata hai

is taraf aish ki shamen to udhar dil ke charagh
dekhna ye hai ki parwana kidhar jata hai

jam-o-sahba ki mujhe fikr nahin ai gham-e-dil
mera paimana to ashkon hi se bhar jata hai

ek rishta bhi mohabbat ka agar TuT gaya
dekhte dekhte shiraaza bikhar jata hai

haal mere liye hai lamha-e-ainda 'nushur'
waqt shaer ke liye pahle guzar jata hai