اردو हिंदी
Use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi | Shaahi Shayari
use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi

Ghazal

Use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi

Rahat Indori

;

use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi
magar is bar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi

irada tha ki main kuchh der tufan ka maza leta
magar bechaare dariya ko utar jaane ki jaldi thi

main apni muTThiyon mein qaid kar leta zaminon ko
magar mere qabile ko bikhar jaane ki jaldi thi

main aaKHir kaun sa mausam tumhaare nam kar deta
yahan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi

wo shaKHon se juda hote hue patton pe hanste the
baDe zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi

main sabit kis tarah karta ki har aaina jhuTa hai
kai kam-zarf chehron ko utar jaane ki jaldi thi