اردو हिंदी
Un aankhon ko nazar kya aa gaya hai | Shaahi Shayari
un aankhon ko nazar kya aa gaya hai

Ghazal

Un aankhon ko nazar kya aa gaya hai

Ehtisham Husain

;

un aankhon ko nazar kya aa gaya hai
mizaj-e-arzu badla hua hai

na jaane haar hai ya jit kya hai
ghamon par muskurana aa gaya hai

meri haalat pe un ka muskurana
jawab-e-na-muradi aa gaya hai

nahin ek main hi nakaam-e-mohabbat
yahi pahle bhi aksar ho chuka hai

saba ki rau na ghunchon ka tabassum
chaman walo kaho kya ho gaya hai

shab-e-gham sahmi sahmi yaad un ki
andhere mein diya sa jal raha hai

nahin milta suragh-e-manzil-e-shauq
mohabbat se bhi ji ghabra gaya hai