اردو हिंदी
Tujhe baaton mein lana chahta hun | Shaahi Shayari
tujhe baaton mein lana chahta hun

Ghazal

Tujhe baaton mein lana chahta hun

Hairat Gondvi

;

tujhe baaton mein lana chahta hun
teri baaton mein aana chahta hun

kisi ka aastana chahta hun
kahin main sar jhukana chahta hun

kisi surat bula le pas mujh ko
main tere pas aana chahta hun

junun dekho ki un ki hi kahani
unhi ko main sunana chahta hun

mujhe ai rahnuma ab chhoD tanha
main KHud ko aazmana chahta hun

Thahar jae yunhi un ka tabassum
Thahar jae zamana chahta hun

wo paiham ruTh jaana chahte hain
main har surat manana chahta hun