اردو हिंदी
Teri nigah faromaya hath hai kotah | Shaahi Shayari
teri nigah faromaya hath hai kotah

Ghazal

Teri nigah faromaya hath hai kotah

Allama Iqbal

;

teri nigah faromaya hath hai kotah
tera gunah ki naKHil-e-buland ka hai gunah

gala to ghonT diya ahl-e-madarsa ne tera
kahan se aae sada la ilah il-lallah

KHudi mein gum hai KHudai talash kar ghafil
yahi hai tere liye ab salah-e-kar ki rah

hadis-e-dil kisi darwesh-e-be-galim se puchh
KHuda kare tujhe tere maqam se aagah

barhana sar hai to azm-e-buland paida kar
yahan faqat sar-e-shahin ke waste hai kulah

na hai sitare ki gardish na bazi-e-aflak
KHudi ki maut hai tera zawal-e-nemat-o-jah

uTha main madrasa o KHanqah se ghamnak
na zindagi na mohabbat na marifat na nigah