اردو हिंदी
Teri nazar ka tir jab jigar ke par ho gaya | Shaahi Shayari
teri nazar ka tir jab jigar ke par ho gaya

Ghazal

Teri nazar ka tir jab jigar ke par ho gaya

Wali Shamsi

;

teri nazar ka tir jab jigar ke par ho gaya
ghazal-parast ban gaya ghazal se pyar ho gaya

abhi abhi thi dosti abhi faza badal gai
kisi ne tan li kaman koi shikar ho gaya

bigaDna sanwarna hai waqt ke mizaj par
jo Thokaron mein tha wo ab gale ka haar ho gaya